Tag Archive | Aam admi party

The Swatantrata Returns – Independence Day Poem

(Narrated this piece on Independence Day and was greeted with warm hearts. Hope it touches you in the same way)

~

Blank page de blank stare mujhe,

Kya likhu? Kya darshayu? Mujhe kuch na sujhe!

Kya main gun gaayu mere mahan vishaal desh ke?

Ya main kisse kholu saare Kamal, Panja, Jhadoo aur unke mahan klesh ke?

~

Tab dhadkano me ek uthi aandhi,

Dil chakra ke bola,

Gaya hai ab woh jaanewaala Gandhi,

Ab tu hi banja kranti ka gola.

~

Hai path par jo yeh jaat paat,

Banja khada tu prem vruksh viraat,

Bas khol de yeh band si aakhain abhi,

Jo ab na kholi toh kya khulegi kabhi?

~

Jamin ke ek tukde par khich gayi hai lakirain kai,

Ab toh dharam aur bhashao ne lai hai duriya nai.

Kisi aur jaise banne ki chah me khud ko hi khote rahe hai hum,

Janjire toh ab bhi hai, gair khud se hi hue hai hum!

~

“Jai Hind” dil se nikale, Status aur watsapp par nahi!

Zuban pe rahe “Mere Desh ki Dharti” mobile ringtones ya apps par nahi!

Wakt ki janjiro me ab, todna nahi hai yu dum,

Samay aa gaya hai abhi, ki hojaaye phir aazaad hum!

~

Maut bhi aajaaye, desh ke liye jaan bhi hai hazir!

Sunkar Uccha vichaar mere bharat Maate boli aakhir!

Sun mere Bharat ke laal, yeh same dialoges sunti hoon main every saal,

Desh ke liye marna, yeh kehna hai bohot aasan, kuch karna hai toh pehle ban ja ek behtar insaan!