Tag Archive | kavita

The Gantantrata Returns! (Part 2)

(Part 1 of the Poem – The Swatantrata Returns – Independence Day Poem)

Career banana aaye hum, yeh behtar insaan kaise bane?
Safalta ki chah rakhne waale, insaaniyat ke beejh kaise jane?
Tab kisi Samvidhan ki suni pukaar,
Avaaz me thi nami, aasuo bhari thi uski lalkaar.

Jabse main aabad hua hoon, apno se barbaad hua hoon.
Samvidhan hoon Bharat ka main, yuva ko lalkaar raha hoon.

Samvidhan hoon bharat ka main,
Duniya ke sarv sresht vavasthao ka bayan mujhme hai.
Kartavyon ka gath bandhan main, achrano ka srujan bana hoon,
Adhikaro ka data main, riwaazon ki laxman rekha hoon.

Jabse main aabad hua hoon, apno se barbaad hua hoon.
Samvidhan hoon Bharat ka main, yuva ko lalkaar raha hoon.

Koi bhuka na rahe, koi aasu na bahe,
Janhit ke buland iraade, ab iske aage kya kahe?
Saksham hoon, saakaar main, praman ki daad bana hoon,
Paisatva janmadin hai mare, par paisath soon baar mara hoon.

Jabse main aabad hua hoon, apno se barbaad hua hoon.
Samvidhan hoon Bharat ka main, yuva ko lalkaar raha hoon.

Jeene ka adhikaar mujhse hai, par ghoot ghoot ke main jee rahe hoon,
Sabko bhasan ki aazaadi, par meri boli main khud hi pee rahe hoo.
Samta ko banaya fark vyavastha, nyay ko banaya nark vyavastha,
Dikhlaya tha kaunsa rasta, note bhari nigahon ne phir kyon bhara apna hi basta.

Jabse main aabad hua hoon, apno se barbaad hua hoon.
Samvidhan hoon Bharat ka main, yuva ko lalkaar raha hoon.

Jalata hoon main bhi, jab chalti hai vispot ki aag,
Ghutta hai dum mera bhi, aarakshan aur dange jab laadte hai mujhepar hi daag.
Sabke aage prashna pada hai – Desh bada ya Swarth bada hai?
Isspar bhi khamosh jahan hai, toh phir mera dosh kahan hai?

Jabse main aabad hua hoon, apno se barbaad hua hoon.
Samvidhan hoon Bharat ka main, yuva ko lalkaar raha hoon.

Janta haath bandh baithi hai, samta maum baandh baithi hai,
Mera galat arth karte ho, sab gun gaan varth kate ho,
Pehredaaro aakhain kholo , dil par haath rakhkar bolo,
Jaisa Hindustan dikha raha hai, aisa mujheme kahan likha hai?

Jabse main aabad hua hoon, apno se barbaad hua hoon.
Samvidhan hoon Bharat ka main, yuva ko lalkaar raha hoon.

Chahe mausam sharminda hai, loktantra mujhse jinda hai,
Main tuta toh sab tuteha, behtar ka arth chootega.
Behtar banana ki chah hai, toh battar ko kaaton,
Agar pyaar hai mujhse toh meri raksha ki pehredaari niyat aur imaandari se baato.

Jabse main aabad hua hoon, apno se barbaad hua hoon.
Samvidhan hoon Bharat ka main, haan tumko, jee haan tumko hi lalkaar raha hoon.

(Inspired by Hari Om Panvar – well known Poet and Law teacher of the country)

Jeevan Ni Sakaad !

 image

Fasai jaau bhale andhakaar ma,
Pan ajvado nai andhakaar che,  Ano bhaas toh che!

Karmai jaaye che jeevan nu phool akaad me,
Kathin toh kathin, katao no saath toh che!

Dukh na dariya ma bhale tanati hou,
Baar ava na prayatno nu abhimaan toh che!

Nana pagla bharu chu, nana pagla chalu chu,
Pagla bharva maate pag ma pran toh che!

Jeevan ni sakaad ke maut nu halardu,

Gammetevi paristithi hooy, pan jivva maate Shyaam no saarth toh che!

Zakham

Paar ki thi ghar ki chaukhat haath me malam thaame,
Jaane kaise chaurahe par zakham chodte gaye!

Chaha tha barishain ho prem ke phoolon ki,
Magar nafrat ke toofani kaantain chubhate chod gaye!

Aakhon me thi khuda ke paride banane ki aarzoo,
Hakikat me dukhon ke darinde ban kar reh gaye!

Chaha tha duniya ke ujaale ko jeet lena,
Magar andhere me dard samette reh gaye!

Ab zindadili ke pool kya baandhe hum,
Jab zinda hi nahi dhadkan iss dil me!

Zindagi toh rooth gayi hai humse,

Maut ki suiya ginte reh gaye!
Eyes